lamha-e-talKHi-e-guftar talak le aaya
lamha-e-talḳhī-e-guftār talak le aayā
vo mujhe apne hī me.aar talak le aayā
kyā rakhe us se koī silsila-e-guft-o-shunīd
ghar kī bātoñ ko jo bāzār talak le aayā
maiñ ne jo baat bharose pe kahī thī us se
vo use surḳhi-e-aḳhbār talak le aayā
ghar meñ jab kuchh na bachā us kī iāñat ke liye
maiñ uThā kar dar-o-dīvār talak le aayā
us kī āñkhoñ meñ ajab sehr thā maiñ jis ke sabab
dil kī bāteñ lab-e-iz.hār talak le aayā
vo jo qaa.il hī na thā merī mohabbat kā use
rafta rafta had-e-iqrār talak le aayā
mere har jhuuT ko duniyā ne sarāhā lekin
ek sach marhala-e-dār talak le aayā
lamha-e-talKHi-e-guftar talak le aaya
wo mujhe apne hi mear talak le aaya
kya rakhe us se koi silsila-e-guft-o-shunid
ghar ki baaton ko jo bazar talak le aaya
main ne jo baat bharose pe kahi thi us se
wo use surKHi-e-aKHbar talak le aaya
ghar mein jab kuchh na bacha us ki ianat ke liye
main uTha kar dar-o-diwar talak le aaya
us ki aankhon mein ajab sehr tha main jis ke sabab
dil ki baaten lab-e-izhaar talak le aaya
wo jo qail hi na tha meri mohabbat ka use
rafta rafta had-e-iqrar talak le aaya
mere har jhuT ko duniya ne saraha lekin
ek sach marhala-e-dar talak le aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.