lamha lamha ek nai tafsir hai
lamha lamha ik na.ī tafsīr hai
zindagī kaisī tirī tasvīr hai
dekhe detī hai kyā ab ye sadī
har kisī ke haath meñ shamshīr hai
aap mere sāmne baiThe haiñ ye
ḳhvāb hai yā ḳhvāb kī ta.abīr hai
aa.ine par guftugū mat kījiye
aa.ina nā-qābil-e-tasḳhīr hai
TūTnā girnā bikharnā ek din
har imārat kī yahī taqdīr hai
lamha lamha ek nai tafsir hai
zindagi kaisi teri taswir hai
dekhe deti hai kya ab ye sadi
har kisi ke hath mein shamshir hai
aap mere samne baiThe hain ye
KHwab hai ya KHwab ki tabir hai
aaine par guftugu mat kijiye
aaina na-qabil-e-tasKHir hai
TuTna girna bikharna ek din
har imarat ki yahi taqdir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.