lamha lamha main guzar aaya hun
lamha lamha maiñ guzār aaya huuñ
ziist kā qarz utaar aaya huuñ
shabnam-ālūd sahar kī zau se
shab-e-furqat ko sañvār aaya huuñ
ik ġhubāra sā gayā thā maiñ vahāñ
lauT kar musht-e-ġhubār aaya huuñ
muḳhtasar umr yahāñ tak thī mirī
jaise ik raat guzār aaya huuñ
lamha lamha main guzar aaya hun
zist ka qarz utar aaya hun
shabnam-alud sahar ki zau se
shab-e-furqat ko sanwar aaya hun
ek ghubara sa gaya tha main wahan
lauT kar musht-e-ghubar aaya hun
muKHtasar umr yahan tak thi meri
jaise ek raat guzar aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.