lamha lamha sochne wali aankhen thin
lamha lamha sochne vaalī āñkheñ thiiñ
us kī āñkheñ dekhne vaalī āñkheñ thiiñ
ka.ī dinoñ se un ko DhūñD rahī huuñ maiñ
vo jo mujh ko DhūñDne vaalī āñkheñ thiiñ
us ko bhūlūñ bhī to kaise bhūlūñ maiñ
hañste hañste rone vaalī āñkheñ thiiñ
idhar udhar kab dekhne detī thiiñ mujh ko
har pal mujh ko Tokne vaalī āñkheñ thiiñ
mujh ko ḳhud se duur na jaane detī thiiñ
merā rasta rokne vaalī āñkheñ thiiñ
apne aap meñ ek pahelī thī 'sādī'
aur pahelī būjhne vaalī āñkheñ thiiñ
lamha lamha sochne wali aankhen thin
us ki aankhen dekhne wali aankhen thin
kai dinon se un ko DhunD rahi hun main
wo jo mujh ko DhunDne wali aankhen thin
us ko bhulun bhi to kaise bhulun main
hanste hanste rone wali aankhen thin
idhar udhar kab dekhne deti thin mujh ko
har pal mujh ko Tokne wali aankhen thin
mujh ko KHud se dur na jaane deti thin
mera rasta rokne wali aankhen thin
apne aap mein ek paheli thi 'sadi'
aur paheli bujhne wali aankhen thin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.