lamha lamha yahi sochun yahi dekha chahun
lamha lamha yahī sochūñ yahī dekhā chāhūñ
terī āñkhoñ meñ to bas apnā hī chehra chāhūñ
ye bhī kyā baat ki maiñ terī anā kī ḳhātir
terī qāmat se ziyāda tirā saayā chāhūñ
mujh se ulfat bhī nahīñ hai to na jaane phir kyuuñ
terī mahfil meñ faqat apnā hī charchā chāhūñ
vo to gūñgā hai magar mujh ko ye zid hai kaisī
apnī tārīf meñ kuchh us se bhī sunñā chāhūñ
saath dene se hue jaate haiñ qāsir alfāz
jaane kyā kyā maiñ tirī shaan meñ likhnā chāhūñ
maiñ to ik aisā musāfir huuñ jo thaktā hī nahīñ
apnī manzil se bhī aage koī jaada chāhūñ
dil se bādal kabhī uThte hī nahīñ haiñ 'aḳhtar'
kis liye āñkhoñ se bahtā huā dariyā chāhūñ
lamha lamha yahi sochun yahi dekha chahun
teri aankhon mein to bas apna hi chehra chahun
ye bhi kya baat ki main teri ana ki KHatir
teri qamat se ziyaada tera saya chahun
mujh se ulfat bhi nahin hai to na jaane phir kyun
teri mahfil mein faqat apna hi charcha chahun
wo to gunga hai magar mujh ko ye zid hai kaisi
apni tarif mein kuchh us se bhi sunna chahun
sath dene se hue jate hain qasir alfaz
jaane kya kya main teri shan mein likhna chahun
main to ek aisa musafir hun jo thakta hi nahin
apni manzil se bhi aage koi jada chahun
dil se baadal kabhi uThte hi nahin hain 'aKHtar'
kis liye aankhon se bahta hua dariya chahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.