lamhon ka pathraw hai mujh par sadiyon ki yalghaar
lamhoñ kā pathrāv hai mujh par sadiyoñ kī yalġhār
maiñ ghar jaltā chhoḌ aayā huuñ dariyā ke us paar
kis kī ruuh ta.āqub meñ hai saa.e ke mānind
aatī hai nazdīk se aksar ḳhushbū kī jhankār
tere sāmne baiThā huuñ ā.ankhoñ meñ ashk liye
mere tere biich ho jaise shīshe kī dīvār
mere bāhar utnī hī marbūt hai be-rabtī
mere andar kī duniyā hai jitnī pur-asrār
band ā.ankhoñ meñ kaañp rahe haiñ jugnū jugnū ḳhvāb
sar par jhuul rahī hai kaisī nādīda talvār
lamhon ka pathraw hai mujh par sadiyon ki yalghaar
main ghar jalta chhoD aaya hun dariya ke us par
kis ki ruh taaqub mein hai sae ke manind
aati hai nazdik se aksar KHushbu ki jhankar
tere samne baiTha hun aaankhon mein ashk liye
mere tere bich ho jaise shishe ki diwar
mere bahar utni hi marbut hai be-rabti
mere andar ki duniya hai jitni pur-asrar
band aaankhon mein kanp rahe hain jugnu jugnu KHwab
sar par jhul rahi hai kaisi nadida talwar
- Book : Pakistani Adab (Pg. 549)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.