lamhon mein ek umr ki mehnat KHarab ki
lamhoñ meñ ek umr kī mehnat ḳharāb kī
is dhuup ne makān kī rañgat ḳharāb kī
raste meñ phuul dekh ke ham log Dar ga.e
kis ne hamāre paañv kī aadat ḳharāb kī
ujlat-pasand haath meñ aa.e hue the ham
kuchh gāhakoñ ne pūchh ke qīmat ḳharāb kī
ya.anī maiñ us ke ba.ad bhī ḳhush huuñ ye soch kar
kamre kī jān-būjh ke hālat ḳharāb kī
vaise ye ishq kaun sā likkhā thā baḳht meñ
ham ne to apnī aap hī qismat ḳharāb kī
kis ne hamāre naam pe beche haiñ qahqahe
kis ne hamāre naam kī shohrat ḳharāb kī
tañg aa ke āsmāñ se nikālā gayā hameñ
thoḌī bahut jo thī yahāñ vaq.at ḳharāb kī
'sāhir' junūn-e-shauq meñ kyā kyā nahīñ kiyā
miTTī palīd kī kabhī izzat ḳharāb kī
lamhon mein ek umr ki mehnat KHarab ki
is dhup ne makan ki rangat KHarab ki
raste mein phul dekh ke hum log Dar gae
kis ne hamare panw ki aadat KHarab ki
ujlat-pasand hath mein aae hue the hum
kuchh gahakon ne puchh ke qimat KHarab ki
yani main us ke baad bhi KHush hun ye soch kar
kamre ki jaan-bujh ke haalat KHarab ki
waise ye ishq kaun sa likkha tha baKHt mein
hum ne to apni aap hi qismat KHarab ki
kis ne hamare nam pe beche hain qahqahe
kis ne hamare nam ki shohrat KHarab ki
tang aa ke aasman se nikala gaya hamein
thoDi bahut jo thi yahan waqat KHarab ki
'sahir' junun-e-shauq mein kya kya nahin kiya
miTTi palid ki kabhi izzat KHarab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.