laraz laraz to gaya ek charagh-e-nim-shabi
laraz laraz to gayā ik charāġh-e-nīm-shabī
magar sambhal ke jalā ik charāġh-e-nīm-shabī
sabhī diloñ meñ ajab ḳhauf thā añdhere kā
magar zarā na Darā ik charāġh-e-nīm-shabī
maiñ sochtā thā akelā hī jal rahā huuñ yahāñ
mirā rafīq huā ik charāġh-e-nīm-shabī
na jaane kahnā thā kyā us ne sone vāloñ se
pukārtā hī rahā ik charāġh-e-nīm-shabī
tapish hurūf kī shāyad usī kī lau se milī
mirī ġhazal meñ jalā ik charāġh-e-nīm-shabī
laraz laraz to gaya ek charagh-e-nim-shabi
magar sambhal ke jala ek charagh-e-nim-shabi
sabhi dilon mein ajab KHauf tha andhere ka
magar zara na Dara ek charagh-e-nim-shabi
main sochta tha akela hi jal raha hun yahan
mera rafiq hua ek charagh-e-nim-shabi
na jaane kahna tha kya us ne sone walon se
pukarta hi raha ek charagh-e-nim-shabi
tapish huruf ki shayad usi ki lau se mili
meri ghazal mein jala ek charagh-e-nim-shabi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.