Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

latafat be-kasafat jalwa paida kar nahin sakti

Mirza Ghalib

latafat be-kasafat jalwa paida kar nahin sakti

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    latāfat be-kasāfat jalva paidā kar nahīñ saktī

    chaman zañgār hai ā.īna-e-bād-e-bahārī

    harīf-e-joshish-e-dariyā nahīñ ḳhuddārī-e-sāhil

    jahāñ saaqī ho bātil hai da.avā hoshiyārī

    bahār-e-rañg-e-ḳhūn-e-gul hai sāmāñ ashk-bārī

    junūn-e-barq nashtar hai rag-e-abr-e-bahārī

    barā-e-hall-e-mushkil huuñ zi-pā uftāda-e-hasrat

    bañdhā hai uqda-e-ḳhātir se paimāñ ḳhāksārī

    ba-vaqt-e-sar-nigūnī hai tasavvur intizāristāñ

    nigah ko ābloñ se shaġhl hai aḳhtar-shumārī

    'asad' sāġhar-kash-e-taslīm ho gardish se gardūñ

    ki nañg-e-fahm-e-mastāñ hai gila bad-rozg-ārī

    latafat be-kasafat jalwa paida kar nahin sakti

    chaman zangar hai aaina-e-baad-e-bahaari ka

    harif-e-joshish-e-dariya nahin KHuddari-e-sahil

    jahan saqi ho tu baatil hai dawa hoshiyari ka

    bahaar-e-rang-e-KHun-e-gul hai saman ashk-bari ka

    junun-e-barq nashtar hai rag-e-abr-e-bahaari ka

    bara-e-hall-e-mushkil hun zi-pa uftada-e-hasrat

    bandha hai uqda-e-KHatir se paiman KHaksari ka

    ba-waqt-e-sar-niguni hai tasawwur intizaristan

    nigah ko aablon se shaghl hai aKHtar-shumari ka

    'asad' saghar-kash-e-taslim ho gardish se gardun ki

    ki nang-e-fahm-e-mastan hai gila bad-rozg-ari ka

    RECITATIONS

    Javed Naseem

    Javed Naseem,

    Javed Naseem

    LATAFAT BEQASAFAT Javed Naseem

    Source :
    • Book : Deewan-e-Ghalib Jadeed (Al-Maroof Ba Nuskha-e-Hameedia) (Pg. 164)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now