laTon ne uski hai luTa qarar raaton ka
laToñ ne us kī hai luuTā qarār rātoñ kā
kiyā hai dāman-e-dil tār-tār rātoñ kā
huā hai dil ke ufuq par vo badr jab se tulū'
dinoñ meñ hone lagā hai shumār rātoñ kā
kabhī jo zulf-e-siyah tuul de shab-e-ġham ko
to chāñd-chehra kare iḳhtisār rātoñ kā
muhīb tīrgī din kī bhī sāya-afgan hai
hai āftāb bhī nisfunnahār rātoñ kā
masāfateñ haiñ shab-e-hijr kī ki kaTtī nahīñ
agarche pā-ba-rikāb hai savār rātoñ kā
zuhūr-e-fajr huā hai hazār raat ke baa'd
ye mas.ala nahīñ hai tiin chaar rātoñ kā
kuchh is tarah se hoñ ham us ke saath ham-sohbat
ki saath saath ho din ko bhī yaar rātoñ kā
laTon ne us ki hai luTa qarar raaton ka
kiya hai daman-e-dil tar-tar raaton ka
hua hai dil ke ufuq par wo badr jab se tulu'
dinon mein hone laga hai shumar raaton ka
kabhi jo zulf-e-siyah tul de shab-e-gham ko
to chand-chehra kare iKHtisar raaton ka
muhib tirgi din ki bhi saya-afgan hai
hai aaftab bhi nisfunnahaar raaton ka
masafaten hain shab-e-hijr ki ki kaTti nahin
agarche pa-ba-rikab hai sawar raaton ka
zuhur-e-fajr hua hai hazar raat ke ba'd
ye masala nahin hai tin chaar raaton ka
kuchh is tarah se hon hum us ke sath ham-sohbat
ki sath sath ho din ko bhi yar raaton ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.