lau hun magar charagh ke andar nahin hun main
lau huuñ magar charāġh ke andar nahīñ huuñ maiñ
uthlī siyāhiyoñ ko bhī azbar nahīñ huuñ maiñ
dīvār huuñ aur ek jabīñ kā savāl huuñ
simTe hue qadam ke liye dar nahīñ huuñ maiñ
āñkhoñ ke paar āḳhirī naddī hai niiñd kī
naddī kī tah meñ reñgtā patthar nahīñ huuñ maiñ
shīshe ke us taraf bhī dikhā.ī nahīñ diyā
paanī ke injimād se behtar nahīñ huuñ maiñ
kuchh peḌ aa rahe haiñ mirī dhuup chhāñTne
sūraj ke iḳhtiyār se bāhar nahīñ huuñ maiñ
lau hun magar charagh ke andar nahin hun main
uthli siyahiyon ko bhi azbar nahin hun main
diwar hun aur ek jabin ka sawal hun
simTe hue qadam ke liye dar nahin hun main
aankhon ke par aaKHiri naddi hai nind ki
naddi ki tah mein rengta patthar nahin hun main
shishe ke us taraf bhi dikhai nahin diya
pani ke injimad se behtar nahin hun main
kuchh peD aa rahe hain meri dhup chhanTne
suraj ke iKHtiyar se bahar nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.