lauT aae wo ya-KHuda phir se
lauT aa.e vo yā-ḳhudā phir se
maiñ ne māñgī hai ye duā phir se
TuuT kar maiñ bikhar bhī saktī huuñ
dekh mujh ko na aazmā phir se
har qadam pe sambhal ke chaltī huuñ
ho na jaa.e koī ḳhatā phir se
ret muTThī meñ le ke baiThī huuñ
dekh badlegā zāviya phir se
baat ahl-e-vafā kī niklī thī
aap kā zikr aa gayā phir se
apnī chāhat pe maan hai itnā
dil na toḌeñge vo merā phir se
'nūr' tanhā.iyoñ se Dartī hai
paas apne mujhe bulā phir se
lauT aae wo ya-KHuda phir se
main ne mangi hai ye dua phir se
TuT kar main bikhar bhi sakti hun
dekh mujh ko na aazma phir se
har qadam pe sambhal ke chalti hun
ho na jae koi KHata phir se
ret muTThi mein le ke baiThi hun
dekh badlega zawiya phir se
baat ahl-e-wafa ki nikli thi
aap ka zikr aa gaya phir se
apni chahat pe man hai itna
dil na toDenge wo mera phir se
'nur' tanhaiyon se Darti hai
pas apne mujhe bula phir se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.