Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lauTte waqt ki be-kaif thakan ko bhulen

Waseem Farhat Alig

lauTte waqt ki be-kaif thakan ko bhulen

Waseem Farhat Alig

MORE BYWaseem Farhat Alig

    Interesting Fact

    نذر ِ جاں نثار اخترؔ

    lauTte vaqt be-kaif thakan ko bhūleñ

    kis ke ghar jaa.eñ ki us va.ada shikan ko bhūleñ

    sahmī āñkhoñ ke savāloñ tapan yaad rakheñ

    thartharāte hue hoñToñ kapan ko bhūleñ

    garm sāñsoñ jalan sard aahoñ tapan

    kaise mumkin hai ki us sho.ala badan ko bhūleñ

    sher kahne nahīñ detī haiñ yādeñ terī

    tujh ko bhūleñ to ye aisā hai ki fan ko bhūleñ

    ham vafā-kesh haiñ mere dil-e-andesha-shanās

    ik tire ḳhauf se kyā apne chalan ko bhūleñ

    muskurāte jahāñ phuul khile jaate huuñ

    marnā behtar hai jo us shoḳh-badan ko bhūleñ

    lauTte waqt ki be-kaif thakan ko bhulen

    kis ke ghar jaen ki us wada shikan ko bhulen

    sahmi aankhon ke sawalon ki tapan yaad rakhen

    thartharaate hue honTon ki kapan ko bhulen

    garm sanson ki jalan sard si aahon ki tapan

    kaise mumkin hai ki us shoala badan ko bhulen

    sher kahne hi nahin deti hain yaaden teri

    tujh ko bhulen to ye aisa hai ki fan ko bhulen

    hum wafa-kesh hain mere dil-e-andesha-shanas

    ek tere KHauf se kya apne chalan ko bhulen

    muskuraate hi jahan phul khile jate hun

    marna behtar hai jo us shoKH-badan ko bhulen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now