Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lazzat-e-lams ka inkar nahin kar sakta

Syed Zamin Abbas Kazmi

lazzat-e-lams ka inkar nahin kar sakta

Syed Zamin Abbas Kazmi

MORE BYSyed Zamin Abbas Kazmi

    lazzat-e-lams inkār nahīñ kar saktā

    duur baiThe tujhe sarshār nahīñ kar saktā

    jaise maiñ dostoñ se hañs ke gale miltā huuñ

    koī ma.amūlī adākār nahīñ kar saktā

    ek do baar to rokūñgā muravvat meñ tujhe

    saiñkaḌoñ baar to isrār nahīñ kar saktā

    baaġh meñ ek bhī phuul ek bhī phal ke hote

    mujhe ziist se bezār nahīñ kar saktā

    aisā kirdār kahānī meñ adā karnā paḌā

    jo koī sāhab-e-kirdār nahīñ kar saktā

    lazzat-e-lams ka inkar nahin kar sakta

    dur baiThe tujhe sarshaar nahin kar sakta

    jaise main doston se hans ke gale milta hun

    koi mamuli adakar nahin kar sakta

    ek do bar to rokunga murawwat mein tujhe

    sainkaDon bar to israr nahin kar sakta

    bagh mein ek bhi phul ek bhi phal ke hote

    tu mujhe zist se bezar nahin kar sakta

    aisa kirdar kahani mein ada karna paDa

    jo koi sahab-e-kirdar nahin kar sakta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now