lazzat se nahin Khaali jaanon ka khapa jaana
lazzat se nahīñ ḳhālī jānoñ kā khapā jaanā
kab ḳhizr o masīhā ne marne kā maza jaanā
ham jāh-o-hasham yaañ kā kyā kahiye ki kyā jaanā
ḳhātim ko sulaimāñ kī añgushtar-e-pā jaanā
ye bhī hai adā koī ḳhurshīd namat pyāre
muñh sub.h dikhā jaanā phir shaam chhupā jaanā
kab bandagī merī sī banda karegā koī
jaane hai ḳhudā us ko maiñ tujh ko ḳhudā jaanā
thā naaz bahut ham ko dānist par apnī bhī
āḳhir vo burā niklā ham jis ko bhalā jaanā
gardan-kashī kyā hāsil mānind bagūle kī
is dasht meñ sar gaaḌe juuñ sail chalā jaanā
is girya-e-ḳhūnīñ kā ho zabt to behtar hai
achchhā nahīñ chehre par lohū kā bahā jaanā
ye naqsh diloñ par se jaane kā nahīñ us ko
āshiq ke huqūq aa kar nāhaq bhī miTā jaanā
Dhab dekhne kā īdhar aisā hī tumhārā thā
jaate to ho par ham se Tuk aañkh milā jaanā
us sham.a kī majlis meñ jaanā hameñ phir vaañ se
ik zaḳhm-e-zabāñ taaza har roz uThā jaanā
ai shor-e-qayāmat ham sote hī na rah jāveñ
is raah se nikle to ham ko bhī jagā jaanā
kyā paanī ke mol aa kar mālik ne guhar bechā
hai saḳht girāñ sastā yūsuf kā bikā jaanā
hai merī tirī nisbat ruuh aur jasad kī sī
kab aap se maiñ tujh ko ai jaan judā jaanā
jaatī hai guzar jī par us vaqt qayāmat sī
yaad aave hai jab terā yak-bārgī aa jaanā
barsoñ se mire us kī rahtī hai yahī sohbat
teġh us ko uThānā to sar mujh ko jhukā jaanā
kab 'mīr' basar aa.e tum vaise farebī se
dil ko to lagā baiThe lekin na lagā jaanā
lazzat se nahin KHali jaanon ka khapa jaana
kab KHizr o masiha ne marne ka maza jaana
hum jah-o-hasham yan ka kya kahiye ki kya jaana
KHatim ko sulaiman ki angushtar-e-pa jaana
ye bhi hai ada koi KHurshid namat pyare
munh subh dikha jaana phir sham chhupa jaana
kab bandagi meri si banda karega koi
jaane hai KHuda us ko main tujh ko KHuda jaana
tha naz bahut hum ko danist par apni bhi
aaKHir wo bura nikla hum jis ko bhala jaana
gardan-kashi kya hasil manind bagule ki
is dasht mein sar gaDe jun sail chala jaana
is girya-e-KHunin ka ho zabt to behtar hai
achchha nahin chehre par lohu ka baha jaana
ye naqsh dilon par se jaane ka nahin us ko
aashiq ke huquq aa kar nahaq bhi miTa jaana
Dhab dekhne ka idhar aisa hi tumhaara tha
jate to ho par hum se Tuk aankh mila jaana
us shama ki majlis mein jaana hamein phir wan se
ek zaKHm-e-zaban taza har roz uTha jaana
ai shor-e-qayamat hum sote hi na rah jawen
is rah se nikle to hum ko bhi jaga jaana
kya pani ke mol aa kar malik ne guhar becha
hai saKHt giran sasta yusuf ka bika jaana
hai meri teri nisbat ruh aur jasad ki si
kab aap se main tujh ko ai jaan juda jaana
jati hai guzar ji par us waqt qayamat si
yaad aawe hai jab tera yak-bargi aa jaana
barson se mere us ki rahti hai yahi sohbat
tegh us ko uThana to sar mujh ko jhuka jaana
kab 'mir' basar aae tum waise farebi se
dil ko to laga baiThe lekin na laga jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.