le chalo mujhko us aaina-e-ruKHsar ke pas
le chalo mujh ko us ā.īna-e-ruḳhsār ke paas
ḳhaak us ziist pe jo yaar na ho yaar ke paas
nargis-e-chashm kā mat rakh dil-e-ranjūr ḳhayāl
ya.anī bīmār ko rakhte nahīñ bīmār ke paas
sar mirā tan se agar duur kiyā sar sadqe
rakhiyo qātil to mujhe apnī hī dīvār ke paas
chashm-e-mast us kī se āḳhir ko hoī ham bhī ḳharāb
hai yahī us kī sazā baiThe jo mai-ḳhvār ke paas
yuuñ ḳhayāl us kā sar-afrāz kare hai 'mārūf'
shah qadam-ranja kare juuñ kasū nādār ke paas
le chalo mujh ko us aaina-e-ruKHsar ke pas
KHak us zist pe jo yar na ho yar ke pas
nargis-e-chashm ka mat rakh dil-e-ranjur KHayal
yani bimar ko rakhte nahin bimar ke pas
sar mera tan se agar dur kiya sar sadqe
rakhiyo qatil to mujhe apni hi diwar ke pas
chashm-e-mast us ki se aaKHir ko hoi hum bhi KHarab
hai yahi us ki saza baiThe jo mai-KHwar ke pas
yun KHayal us ka sar-afraaz kare hai 'maruf'
shah qadam-ranja kare jun kasu nadar ke pas
- Intikhab-e-Sukhan,Volume-001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.