le chuke dil to jang kya hai ab
le chuke dil to jañg kyā hai ab
aa milo phir darañg kyā hai ab
pī ga.e ḳhum ke ḳhum na kī mastī
yaañ sharāb-e-farañg kyā hai ab
us nigah kā hai dil jarāhat-kash
zaḳhm-e-teġh-o-ḳhadañg kyā hai ab
huuñ maiñ dariyā-e-ishq kā ġhavvās
ḳhauf-e-kām-nahañg kyā hai ab
diid o vā-dīd to hue bāham
sharm ai shoḳh o sañg kyā hai ab
dil se vahshī ke ta.iiñ shikār kyā
said-e-sher-o-palañg kyā hai ab
thī jo rusvā.ī ho chukī 'bedār'
pās-e-nāmūs-o-nañg kyā hai ab
le chuke dil to jang kya hai ab
aa milo phir darang kya hai ab
pi gae KHum ke KHum na ki masti
yan sharab-e-farang kya hai ab
us nigah ka hai dil jarahat-kash
zaKHm-e-tegh-o-KHadang kya hai ab
hun main dariya-e-ishq ka ghawwas
KHauf-e-kaam-nahang kya hai ab
did o wa-did to hue baham
sharm ai shoKH o sang kya hai ab
dil se wahshi ke tain shikar kya
said-e-sher-o-palang kya hai ab
thi jo ruswai ho chuki 'bedar'
pas-e-namus-o-nang kya hai ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.