le dida-e-tar jidhar gae hum
le dīda-e-tar jidhar ga.e ham
Dabre jo the ḳhushk bhar ga.e ham
tujh ishq meñ roz-e-ḳhush na dekhā
dukh bharte hī bharte mar ga.e ham
terā jo sitam hai us kī tū jaan
apnī thī sau ḳhuub kar ga.e ham
ye qit.a paḌhe thā soz-e-dil se
saudā ke jo raat ghar ga.e ham
juuñ sham.a laboñ par aa rahā jī
tan thā so gudāz kar ga.e ham
itnī bhī patañg pesh-qadmī!
gar shaam nahīñ sahar ga.e ham
hogī na kisī ko ye ḳhabar bhī
us majlis se kidhar ga.e ham
le dida-e-tar jidhar gae hum
Dabre jo the KHushk bhar gae hum
tujh ishq mein roz-e-KHush na dekha
dukh bharte hi bharte mar gae hum
tera jo sitam hai us ki tu jaan
apni thi sau KHub kar gae hum
ye qita paDhe tha soz-e-dil se
sauda ke jo raat ghar gae hum
jun shama labon par aa raha ji
tan tha so gudaz kar gae hum
itni bhi patang pesh-qadmi!
gar sham nahin sahar gae hum
hogi na kisi ko ye KHabar bhi
us majlis se kidhar gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.