le kar hijr ki pahli talKHi chalta hai
le kar hijr kī pahlī talḳhī chaltā hai
dekhte haiñ ki kab tak farvarī chaltā hai
maiñ kahtā huuñ tuf hai aise jiine par
saañs kā pahiya tere bin bhī chaltā hai
achchhā terā rasta dekhnā hai maiñ ne
achchhā banda le kar naukrī chaltā hai
us ke qurb meñ rah kar jaanā jhuuT hai ye
khoTā sikka ik din lāzmī chaltā hai
tere aane par to bārish aatī hai
saarā shahr hī le kar chhatrī chaltā hai
jiine ko bhī jiinā kahnā Thiik nahīñ
saañs kā chalnā bhī to farzī chaltā hai
chaar dinoñ meñ thak kar vāpas jaatā hai
chaar dinoñ meñ kitnā aadmī chaltā hai
paidā hone vaalā maut ke daftar se
le kar apnī qabr kī taḳhtī chaltā hai
vaqt kī ziin pe baiThnā 'abdul' nā-mumkin
ham kāhil haiñ aur ye jaldī chaltā hai
le kar hijr ki pahli talKHi chalta hai
dekhte hain ki kab tak farwari chalta hai
main kahta hun tuf hai aise jine par
sans ka pahiya tere bin bhi chalta hai
achchha tera rasta dekhna hai main ne
achchha banda le kar naukri chalta hai
us ke qurb mein rah kar jaana jhuT hai ye
khoTa sikka ek din lazmi chalta hai
tere aane par to barish aati hai
sara shahr hi le kar chhatri chalta hai
jine ko bhi jina kahna Thik nahin
sans ka chalna bhi to farzi chalta hai
chaar dinon mein thak kar wapas jata hai
chaar dinon mein kitna aadmi chalta hai
paida hone wala maut ke daftar se
le kar apni qabr ki taKHti chalta hai
waqt ki zin pe baiThna 'abdul' na-mumkin
hum kahil hain aur ye jaldi chalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.