le ke dil mehr se phir rasm-e-jafa-kari kya
le ke dil mehr se phir rasm-e-jafā-kārī kyā
tum dil-ārām ho karte ho dil-āzārī kyā
tum se jo ho so karo ham nahīñ hone ke ḳhafā
kuchh hameñ aur se karnī hai na.ī yaarī kyā
juuñ hubāb aa.e haiñ milne ko na ho chīñ-ba-jabīñ
ham se ik dam ke liye karte ho be-zārī kyā
teġh-e-abrū kī to ulfat ne kiyā dil ko do-nīm
dekheñ ab kartī hai kākul kī giraftārī kyā
phir sināñ mizzha-e-dil par vo uThātā hai 'nazīr'
zaḳhm-e-shamshīr-e-nigah aah nahīñ kaarī kyā
le ke dil mehr se phir rasm-e-jafa-kari kya
tum dil-aram ho karte ho dil-azari kya
tum se jo ho so karo hum nahin hone ke KHafa
kuchh hamein aur se karni hai nai yari kya
jun hubab aae hain milne ko na ho chin-ba-jabin
hum se ek dam ke liye karte ho be-zari kya
tegh-e-abru ki to ulfat ne kiya dil ko do-nim
dekhen ab karti hai kakul ki giraftari kya
phir sinan mizzha-e-dil par wo uThata hai 'nazir'
zaKHm-e-shamshir-e-nigah aah nahin kari kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.