le ke KHud pir-e-mughan hath mein mina aaya
le ke ḳhud pīr-e-muġhāñ haath meñ miinā aayā
mai-kasho sharm ki is par bhī na piinā aayā
na pilānā kisī mai-kash ko na piinā aayā
tujh ko zāhid agar aayā bhī to kiina aayā
umr bhar ḳhūn-e-jigar baiTh ke piinā aayā
ārzūo tumheñ marnā hameñ jiinā aayā
dil ne dekhā mujhe aur maiñ ne falak ko dekhā
bach ke sāhil pe agar koī safīnā aayā
kisī badmast kī yaad aa ga.iiñ āñkheñ saaqī
jab chhalaktā huā aage mire miinā aayā
ik zarā sī thī kabhī kī ḳhalish us par ai hashr
dil meñ letā huā zāhid vahī kiina aayā
laḌkhaḌānā koī sīkhā koī sīkhā mastī
ham ko aayā to faqat Dhaal ke piinā aayā
ḳhush ho ai chashm ki hai fasl yahī rone kī
muzhda ai abr ki sāvan kā mahīna aayā
pī hī lenī thī jo mai-ḳhāne ko aa niklā thā
tujh ko sohbat kā bhī zāhid na qarīnā aayā
chāhā jo kuchh vo zamāne ne kiyā naqsh is par
maiñ to saada liye is dil kā nagīna aayā
aaj tak dāman-e-gul chaak hai ḳhayyāt-e-azal
tujh ko ḳhil.at bhī hasīnoñ kā na siinā aayā
dekh chāroñ taraf apne ki tamāshā kyā hai
le ke is bazm meñ tū dīda-e-bīnā aayā
muñh pe āshiq ke mohabbat kī shikāyat nāseh
baat karne kā bhī nādāñ na qarīnā aayā
kis tarah milte haiñ bichhḌoñ se dikhā deñge kabhī
dil meñ vo tiir agar chiir ke siinā aayā
Dhaal kar dete haiñ kis ko kise be-Dhāle hue
mere saaqī ko to ye bhī na qarīnā aayā
zindagī karte haiñ kis tarah ye sīkho is vaqt
'shād' kyā naf.a agar marne pe jiinā aayā
le ke KHud pir-e-mughan hath mein mina aaya
mai-kasho sharm ki is par bhi na pina aaya
na pilana kisi mai-kash ko na pina aaya
tujh ko zahid agar aaya bhi to kina aaya
umr bhar KHun-e-jigar baiTh ke pina aaya
aarzuo tumhein marna hamein jina aaya
dil ne dekha mujhe aur main ne falak ko dekha
bach ke sahil pe agar koi safina aaya
kisi badmast ki yaad aa gain aankhen saqi
jab chhalakta hua aage mere mina aaya
ek zara si thi kabhi ki KHalish us par ai hashr
dil mein leta hua zahid wahi kina aaya
laDkhaDana koi sikha koi sikha masti
hum ko aaya to faqat Dhaal ke pina aaya
KHush ho ai chashm ki hai fasl yahi rone ki
muzhda ai abr ki sawan ka mahina aaya
pi hi leni thi jo mai-KHane ko aa nikla tha
tujh ko sohbat ka bhi zahid na qarina aaya
chaha jo kuchh wo zamane ne kiya naqsh is par
main to sada liye is dil ka nagina aaya
aaj tak daman-e-gul chaak hai KHayyat-e-azal
tujh ko KHilat bhi hasinon ka na sina aaya
dekh chaaron taraf apne ki tamasha kya hai
le ke is bazm mein tu dida-e-bina aaya
munh pe aashiq ke mohabbat ki shikayat naseh
baat karne ka bhi nadan na qarina aaya
kis tarah milte hain bichhDon se dikha denge kabhi
dil mein wo tir agar chir ke sina aaya
Dhaal kar dete hain kis ko kise be-Dhaale hue
mere saqi ko to ye bhi na qarina aaya
zindagi karte hain kis tarah ye sikho is waqt
'shad' kya nafa agar marne pe jina aaya
- Book : Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 33)
- Author : Shad Azimabadi
- Publication : Educational Publishing House (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.