le ke mazi ko jo haal aaya to dil kanp gaya
le ke maazī ko jo haal aayā to dil kaañp gayā
jab kabhī un kā ḳhayāl aayā to dil kaañp gayā
aisā toḌā thā mohabbat meñ kisī ne dil ko
jab kisī shīshe meñ baal aayā to dil kaañp gayā
sar-bulandī pe to maġhrūr the ham bhī lekin
chaḌhte sūraj pe zavāl aayā to dil kaañp gayā
bad nazar uThne hī vaalī thī kisī kī jānib
apnī beTī kā ḳhayāl aayā to dil kaañp gayā
le ke mazi ko jo haal aaya to dil kanp gaya
jab kabhi un ka KHayal aaya to dil kanp gaya
aisa toDa tha mohabbat mein kisi ne dil ko
jab kisi shishe mein baal aaya to dil kanp gaya
sar-bulandi pe to maghrur the hum bhi lekin
chaDhte suraj pe zawal aaya to dil kanp gaya
bad nazar uThne hi wali thi kisi ki jaanib
apni beTi ka KHayal aaya to dil kanp gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.