le rahe hum yar bose jam ke
le rahe ham yaar bose jaam ke
Dūbte jaate haiñ jānib shaam ke
shauq meñ saaqī rahe ham mubtalā
kitne ġhāfil ham rahe anjām ke
'ishq ne mujh ko lagāyā kaam pe
din ga.e haiñ mere ab ārām ke
gin rahe ham sub.h tak yuuñ shaam se
kitne 'āshiq haiñ tumhāre naam ke
pūchhte ho raat bhar ham kyā kiye
ḳhat jalā.e haiñ tumhāre naam ke
ham nahīñ to koī bhī kaise piye
kar diye haiñ TukḌe TukḌe jaam ke
sab ko ham se kuchh na kuchh ummīd thī
kuchh na nikle aadmī ham kaam ke
le rahe hum yar bose jam ke
Dubte jate hain jaanib sham ke
shauq mein saqi rahe hum mubtala
kitne ghafil hum rahe anjam ke
'ishq ne mujh ko lagaya kaam pe
din gae hain mere ab aaram ke
gin rahe hum subh tak yun sham se
kitne 'ashiq hain tumhaare nam ke
puchhte ho raat bhar hum kya kiye
KHat jalae hain tumhaare nam ke
hum nahin to koi bhi kaise piye
kar diye hain TukDe TukDe jam ke
sab ko hum se kuchh na kuchh ummid thi
kuchh na nikle aadmi hum kaam ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.