le teri aawaz ko qaid-e-samaat kar liya
le tirī āvāz ko qaid-e-samā.at kar liyā
haañ ġhazal ke ruup ko aks-e-tabā.at kar liyā
bhīgtī is shaam meñ us ne pukārā hai mujhe
lag rahā hai jis tarah hajj-e-mohabbat kar liyā
sochtā huuñ us se pūchhūñ jān-e-'safdar' kis liye
aam se ik aadmī ko apnī aadat kar liyā
aaj phir shānoñ pe bikhrī zulf hai allāh ḳhair
lag rahā hai aaj phir ahd-e-baġhāvat kar liyā
rāt-din rahtā hai us ko apnī chāhat kā ḳhayāl
us ne ḳhud ko is tarah vaqf-e-ibādat kar liyā
kar liyā hai shab kī tanhā.ī meñ milne kā ḳhayāl
muskurāhaT ko tirī radd-e-adāvat kar liyā
is kitāb-e-ishq kī takmīl 'safdar' ho ga.ī
us ne barsoñ baad iz.hār-e-mohabbat kar liyā
le teri aawaz ko qaid-e-samaat kar liya
han ghazal ke rup ko aks-e-tabaat kar liya
bhigti is sham mein us ne pukara hai mujhe
lag raha hai jis tarah hajj-e-mohabbat kar liya
sochta hun us se puchhun jaan-e-'safdar' kis liye
aam se ek aadmi ko apni aadat kar liya
aaj phir shanon pe bikhri zulf hai allah KHair
lag raha hai aaj phir ahd-e-baghawat kar liya
raat-din rahta hai us ko apni chahat ka KHayal
us ne KHud ko is tarah waqf-e-ibaadat kar liya
kar liya hai shab ki tanhai mein milne ka KHayal
muskurahaT ko teri radd-e-adawat kar liya
is kitab-e-ishq ki takmil 'safdar' ho gai
us ne barson baad izhaar-e-mohabbat kar liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.