le uDa phir koi KHayal hamein
le uḌā phir koī ḳhayāl hameñ
sāqiyā sāqiyā sambhāl hameñ
ro rahe haiñ ki ek aadat hai
varna itnā nahīñ malāl hameñ
ḳhalvatī haiñ tire jamāl ke ham
aa.ine kī tarah sambhāl hameñ
marg-e-amboh jashn-e-shādī hai
mil ga.e dost hasb-e-hāl hameñ
iḳhtilāf-e-jahāñ kā rañj na thā
de ga.e maat ham-ḳhayāl hameñ
kyā tavaqqo kareñ zamāne se
ho bhī gar jur.at-e-savāl hameñ
ham yahāñ bhī nahīñ haiñ ḳhush lekin
apnī mahfil se mat nikāl hameñ
ham tire dost haiñ 'farāz' magar
ab na aur uljhanoñ meñ Daal hameñ
le uDa phir koi KHayal hamein
saqiya saqiya sambhaal hamein
ro rahe hain ki ek aadat hai
warna itna nahin malal hamein
KHalwati hain tere jamal ke hum
aaine ki tarah sambhaal hamein
marg-e-amboh jashn-e-shadi hai
mil gae dost hasb-e-haal hamein
iKHtilaf-e-jahan ka ranj na tha
de gae mat ham-KHayal hamein
kya tawaqqo karen zamane se
ho bhi gar jurat-e-sawal hamein
hum yahan bhi nahin hain KHush lekin
apni mahfil se mat nikal hamein
hum tere dost hain 'faraaz' magar
ab na aur uljhanon mein Dal hamein
- Book : Kulliyat-e-Ahmad Faraz (Pg. 436)
- Author : Ahmad Faraz
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd. (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.