le uDi KHushk patte hawa dosta
le uḌī ḳhushk patte havā dostā
ho ga.ī zindagī kyā se kyā dostā
DhūñD lā tū kahīñ se mujhe aa bhī jā
ho gayā huuñ maiñ phir lāpata dostā
ishq hī ishq hai chār-sū kū-ba-kū
ishq meñ yuuñ hue mubtalā dostā
merī har ik duā meñ tirā naam hai
tujh ko ābād rakkhe ḳhudā dostā
ghar kirā.e kā thā jūñhī ḳhālī huā
aa gayā hai koī dūsrā dostā
aa tujhe raakh 'rāmiz' kī dikhlā.ūñ maiñ
jo tire hijr meñ jal bujhā dostā
le uDi KHushk patte hawa dosta
ho gai zindagi kya se kya dosta
DhunD la tu kahin se mujhe aa bhi ja
ho gaya hun main phir lapata dosta
ishq hi ishq hai chaar-su ku-ba-ku
ishq mein yun hue mubtala dosta
meri har ek dua mein tera nam hai
tujh ko aabaad rakkhe KHuda dosta
ghar kirae ka tha junhi KHali hua
aa gaya hai koi dusra dosta
aa tujhe rakh 'ramiz' ki dikhlaun main
jo tere hijr mein jal bujha dosta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.