leta hai jaan meri to mein sar-ba-dast hun
letā hai jaan merī to meñ sar-ba-dast huuñ
ai yaar maiñ to kushta-e-roz-e-alast huuñ
ik dam kī zindagī ke liye mat uThā mujhe
ai be-ḳhabar maiñ naqsh-e-zamīñ kī nishast huuñ
tū mast kar sharāb se ai gul-badan mujhe
zālim maiñ terī chashm-e-gulābī se mast huuñ
dūr-az-tarīq mujh ko samajhiyo na zāhidā
gar tū ḳhudā-parast hai maiñ but-parast huuñ
in sañg-dil butoñ kā gila kyā karūñ 'nazīr'
maiñ aap apne shīsha-e-dil kī shikast huuñ
leta hai jaan meri to mein sar-ba-dast hun
ai yar main to kushta-e-roz-e-alast hun
ek dam ki zindagi ke liye mat uTha mujhe
ai be-KHabar main naqsh-e-zamin ki nishast hun
tu mast kar sharab se ai gul-badan mujhe
zalim main teri chashm-e-gulabi se mast hun
dur-az-tariq mujh ko samajhiyo na zahida
gar tu KHuda-parast hai main but-parast hun
in sang-dil buton ka gila kya karun 'nazir'
main aap apne shisha-e-dil ki shikast hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.