Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

lete lete karwaTen tujh bin jo ghabraata hun main

Imam Bakhsh Nasikh

lete lete karwaTen tujh bin jo ghabraata hun main

Imam Bakhsh Nasikh

MORE BYImam Bakhsh Nasikh

    lete lete karvaTeñ tujh bin jo ghabrātā huuñ maiñ

    naam le le kar tirā rātoñ ko chillātā huuñ maiñ

    ġhair jab kahtā hai us par maiñ bhī martā huuñ tab aah

    vo to kyā martā hai bas ġhairat se mar jaatā huuñ maiñ

    aa nikaltā hai kabhī par baat vo kartā nahīñ

    boltā hai to ye kahtā hai ki ab jaatā huuñ maiñ

    vo hai ātish parkāla ki tere sāmne

    āftāb aa kar kahe jaaḌe se tharrātā huuñ maiñ

    nā-tavānī ne nikal jaane Dar to kho diyā

    yaar ko ab apne mar jaane se dhamkātā huuñ maiñ

    gar chaleñ rāh-e-talab meñ toḌ Dālūñ apne paañv

    bas kabhī saaqī ke aage haath phailātā huuñ maiñ

    abr ko dekhā jo saaqī ne nigāh-e-mast se

    ra.ad bolā ab mai-e-gul-rañg barsātā huuñ maiñ

    dauḌte haiñ paañv jab dāmān-e-sahrā taraf

    haath bhī sū-e-garebāñ saath dauḌātā huuñ maiñ

    lete lete karwaTen tujh bin jo ghabraata hun main

    nam le le kar tera raaton ko chillata hun main

    ghair jab kahta hai us par main bhi marta hun tab aah

    wo to kya marta hai bas ghairat se mar jata hun main

    aa nikalta hai kabhi par baat wo karta nahin

    bolta hai to ye kahta hai ki ab jata hun main

    tu wo hai aatish ka parkala ki tere samne

    aaftab aa kar kahe jaDe se tharraata hun main

    na-tawani ne nikal jaane ka Dar to kho diya

    yar ko ab apne mar jaane se dhamkata hun main

    gar chalen rah-e-talab mein toD Dalun apne panw

    bas kabhi saqi ke aage hath phailata hun main

    abr ko dekha jo saqi ne nigah-e-mast se

    rad bola ab mai-e-gul-rang barsata hun main

    dauDte hain panw jab daman-e-sahra ki taraf

    hath bhi su-e-gareban sath dauData hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now