libas chaak badan jhankta ye aadha hai
libās chaak badan jhāñktā ye aadhā hai
yahī kafan hai hamārā yahī libāda hai
kahīñ pe ḳhvāhishoñ kī koī intihā hī nahīñ
to koī ek nivāle meñ din bitātā hai
nayā nizām na.ī nasl aur na.e va.ade
har ek nasl ke hisse meñ sirf va.ada hai
jo baat farz hai us ke faqat nibhāne par
sukūn kam hai diloñ meñ gumāñ ziyāda hai
luTe hue ham abhāgoñ ko lūTne vaalā
safed-posh hai khādī pahan ke aatā hai
libas chaak badan jhankta ye aadha hai
yahi kafan hai hamara yahi libaada hai
kahin pe KHwahishon ki koi intiha hi nahin
to koi ek niwale mein din bitata hai
naya nizam nai nasl aur nae wade
har ek nasl ke hisse mein sirf wada hai
jo baat farz hai us ke faqat nibhane par
sukun kam hai dilon mein guman ziyaada hai
luTe hue hum abhagon ko luTne wala
safed-posh hai khadi pahan ke aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.