likh likh ke aansuon se diwan kar liya hai
likh likh ke āñsuoñ se dīvān kar liyā hai
apne suḳhan ko apnī pahchān kar liyā hai
āḳhir haTā diiñ ham ne bhī zehn se kitābeñ
ham ne bhī apnā jiinā āsān kar liyā hai
duniyā meñ āñkheñ kholī haiñ mūñdne kī ḳhātir
aate hī lauTne kā sāmān kar liyā hai
sab log is se pahle ki devtā samajhte
ham ne zarā sā ḳhud ko insān kar liyā hai
jin nekiyoñ pe chal kar ajdād kitne ḳhush the
ham ne unhī pe chal kar nuqsān kar liyā hai
har baar apne dil kī bāteñ zabāñ pe lā kar
ham ne musībatoñ ko mehmān kar liyā hai
aksar huā hai marne kī maañg kar duā.eñ
phir ham ne zindagī kā armān kar liyā hai
ik dil ke TūTne par rotā hai koī itnā
jhoñke ko ḳhud hamīñ ne tūfān kar liyā hai
sochā bhī hai ki daanā banñe kī koshishoñ meñ
kyā haal apnā tū ne nādān kar liyā hai
kuchh is tarah guzārā hai zindagī ko ham ne
jaise ki ḳhud pe koī ehsān kar liyā hai
likh likh ke aansuon se diwan kar liya hai
apne suKHan ko apni pahchan kar liya hai
aaKHir haTa din hum ne bhi zehn se kitaben
hum ne bhi apna jina aasan kar liya hai
duniya mein aankhen kholi hain mundne ki KHatir
aate hi lauTne ka saman kar liya hai
sab log is se pahle ki dewta samajhte
hum ne zara sa KHud ko insan kar liya hai
jin nekiyon pe chal kar ajdad kitne KHush the
hum ne unhi pe chal kar nuqsan kar liya hai
har bar apne dil ki baaten zaban pe la kar
hum ne musibaton ko mehman kar liya hai
aksar hua hai marne ki mang kar duaen
phir hum ne zindagi ka arman kar liya hai
ek dil ke TuTne par rota hai koi itna
jhonke ko KHud hamin ne tufan kar liya hai
socha bhi hai ki dana banne ki koshishon mein
kya haal apna tu ne nadan kar liya hai
kuchh is tarah guzara hai zindagi ko hum ne
jaise ki KHud pe koi ehsan kar liya hai
- Book : Vajood (Pg. 144)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.