likhe the humne jo ashkon ki raushnai se
likhe the ham ne jo ashkoñ kī raushnā.ī se
vo ishq ke bhī maqālāt qīmtī haiñ bahut
inhī se hotī hai me'rāj ishq ko hāsil
ye dard aur ye jazbāt qīmtī haiñ bahut
nisāb-e-'ishq meñ pūchhe ga.e haiñ jo aksar
javāb chhoḌo savālāt qīmtī haiñ bahut
hamāre jiine kī Dhāras yahī bañdhātī haiñ
tumhārī yādoñ kī bārāt qīmtī haiñ bahut
vo jis ke ḳhvāb meñ dīdār un kā ho jaa.e
qasam ḳhudā kī vahī raat qīmtī hai bahut
vo bol de to sabhī kuchh luTā ke ham rakh deñ
ye sach hai un kī har ik baat qīmtī hai bahut
hamāre ashk yahāñ haisiyat nahīñ rakhte
tumhāre ashkoñ kī sauġhāt qīmtī hai bahut
vo lamhe jin meñ hameñ yaad aap aa jaa.e
vahī hayāt ke lamhāt qīmtī haiñ bahut
ye jab bhī aate haiñ ashkoñ ko saath laate haiñ
ye ashk aur ye barsāt qīmtī haiñ bahut
likhe the hum ne jo ashkon ki raushnai se
wo ishq ke bhi maqalat qimti hain bahut
inhi se hoti hai me'raj ishq ko hasil
ye dard aur ye jazbaat qimti hain bahut
nisab-e-'ishq mein puchhe gae hain jo aksar
jawab chhoDo sawalat qimti hain bahut
hamare jine ki Dhaaras yahi bandhati hain
tumhaari yaadon ki baraat qimti hain bahut
wo jis ke KHwab mein didar un ka ho jae
qasam KHuda ki wahi raat qimti hai bahut
wo bol de to sabhi kuchh luTa ke hum rakh den
ye sach hai un ki har ek baat qimti hai bahut
hamare ashk yahan haisiyat nahin rakhte
tumhaare ashkon ki saughat qimti hai bahut
wo lamhe jin mein hamein yaad aap aa jae
wahi hayat ke lamhat qimti hain bahut
ye jab bhi aate hain ashkon ko sath late hain
ye ashk aur ye barsat qimti hain bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.