likkhi jab aasman ne taqdir KHak ki
likkhī jab āsmān ne taqdīr ḳhaak kī
mujh ko tamām sauñp dī jāgīr ḳhaak kī
bhāte nahīñ haiñ aañkh ko merī ye tāj-o-taḳht
jaatī nahīñ vajūd se tāsīr ḳhaak kī
par khol to diye mire sayyād ne magar
paañv meñ Daal dī mire zanjīr ḳhaak kī
aanā hai us kī qaid meñ har ik vajūd ne
lagnī hai har vajūd pe ta.azīr ḳhaak kī
lo ḳhāksārī se bhī maiñ aage nikal gayā
lo ban gayā huuñ aaj maiñ tasvīr ḳhaak kī
likkhi jab aasman ne taqdir KHak ki
mujh ko tamam saunp di jagir KHak ki
bhate nahin hain aankh ko meri ye taj-o-taKHt
jati nahin wajud se tasir KHak ki
par khol to diye mere sayyaad ne magar
panw mein Dal di mere zanjir KHak ki
aana hai us ki qaid mein har ek wajud ne
lagni hai har wajud pe tazir KHak ki
lo KHaksari se bhi main aage nikal gaya
lo ban gaya hun aaj main taswir KHak ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.