lillah koi koshish na kare ulfat mein mujhe samjhane ki
lillah koi koshish na kare ulfat mein mujhe samjhane ki
Shadan Indauri
MORE BYShadan Indauri
lillāh koī koshish na kare ulfat meñ mujhe samjhāne kī
jalne ke alāva aur koī manzil hī nahīñ parvāne kī
Darne ko to kitne Darte haiñ rusvā.ī se vo dīvāne kī
ik had to muqarrar kar dete zulfoñ ke liye lahrāne kī
nazreñ to milātī thiiñ un se kuchh baat na thī ghabrāne kī
ai ishq magar ham chuuk ga.e ye choT thī dil par khāne kī
qurbat ho ki duurī donoñ meñ ik kaif-e-mohabbat hotā hai
ye bhī hai isī mai-ḳhāne kī vo bhī hai isī mai-ḳhāne kī
sayyād ne khul kar baat na kī jis din se qafas meñ aayā huuñ
mālūm nahīñ miTTī merī gulshan kī hai yā vīrāne kī
saaqī tire lutf-e-ām se ham vāqif haiñ magar ye yaad rahe
is daur meñ kam raas aatī hai shīshe ko duā paimāne kī
is tarah milā kar pī jaanā har rind ke bas kī baat nahīñ
thoḌī sī kisī paimāne kī thoḌī sī kisī paimāne kī
lillah koi koshish na kare ulfat mein mujhe samjhane ki
jalne ke alawa aur koi manzil hi nahin parwane ki
Darne ko to kitne Darte hain ruswai se wo diwane ki
ek had to muqarrar kar dete zulfon ke liye lahrane ki
nazren to milati thin un se kuchh baat na thi ghabrane ki
ai ishq magar hum chuk gae ye choT thi dil par khane ki
qurbat ho ki duri donon mein ek kaif-e-mohabbat hota hai
ye bhi hai isi mai-KHane ki wo bhi hai isi mai-KHane ki
sayyaad ne khul kar baat na ki jis din se qafas mein aaya hun
malum nahin miTTi meri gulshan ki hai ya virane ki
saqi tere lutf-e-am se hum waqif hain magar ye yaad rahe
is daur mein kam ras aati hai shishe ko dua paimane ki
is tarah mila kar pi jaana har rind ke bas ki baat nahin
thoDi si kisi paimane ki thoDi si kisi paimane ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.