lipaT kar so raha hun lazzat-e-dard-e-mohabbat se
lipaT kar so raha hun lazzat-e-dard-e-mohabbat se
S. Nooruddin Anwar Bhopali
MORE BYS. Nooruddin Anwar Bhopali
lipaT kar so rahā huuñ lazzat-e-dard-e-mohabbat se
ye ishrat ba.ad-e-murdan ḳhaak meñ miltī hai qismat se
sarāpā sher-o-naġhma ban gayā kis kī ināyat se
mirā dil ab ibārat hai mohabbat hī mohabbat se
vo firdaus-e-barīñ dar-asl dozaḳh se bhī bad-tar hai
jo hāsil kī ga.ī ho ġhair ke lutf-o-ināyat se
agar furqat hī furqat ho to phir furqat nahīñ rahtī
maiñ tere vasl kā bhī lutf uThā letā huuñ furqat se
tamanna hai ki rahne de yahī ehsās vo mujh meñ
ki ik maiñ hī faqat mahrūm huuñ us kī ināyat se
ye duniyā se alag rahnā bhī kuchh achchhā nahīñ 'zāhid'
baġhāvat hai ye manshā-e-ilāhī kī itā.at se
sharārat kuchh unhīñ us kī samt se hotī nahīñ tanhā
mujhe bhī fitratan kuchh unsiyat sī hai sharārat se
mujhe to but-kade hī meñ ḳhudā bhī mil gayā zāhid
musalmāñ ho gayā huuñ maiñ isī kufr-e-mohabbat meñ
ye 'anvar' kaun sī duniyā meñ khoyā hai ki ḳhud us ko
sunā hai aap apnī justujū hai ek muddat se
lipaT kar so raha hun lazzat-e-dard-e-mohabbat se
ye ishrat baad-e-murdan KHak mein milti hai qismat se
sarapa sher-o-naghma ban gaya kis ki inayat se
mera dil ab ibarat hai mohabbat hi mohabbat se
wo firdaus-e-barin dar-asl dozaKH se bhi bad-tar hai
jo hasil ki gai ho ghair ke lutf-o-inayat se
agar furqat hi furqat ho to phir furqat nahin rahti
main tere wasl ka bhi lutf uTha leta hun furqat se
tamanna hai ki rahne de yahi ehsas wo mujh mein
ki ek main hi faqat mahrum hun us ki inayat se
ye duniya se alag rahna bhi kuchh achchha nahin 'zahid'
baghawat hai ye mansha-e-ilahi ki itaat se
shararat kuchh unhin us ki samt se hoti nahin tanha
mujhe bhi fitratan kuchh unsiyat si hai shararat se
mujhe to but-kade hi mein KHuda bhi mil gaya zahid
musalman ho gaya hun main isi kufr-e-mohabbat mein
ye 'anwar' kaun si duniya mein khoya hai ki KHud us ko
suna hai aap apni justuju hai ek muddat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.