lipaT ke soch se ninden haram karti hai
lipaT ke soch se nīñdeñ harām kartī hai
tamām shab tirī hasrat kalām kartī hai
hamī vo ilm ke raushan charāġh haiñ jin ko
havā bujhātī nahīñ hai salām kartī hai
kisī bhī taur sikhātī nahīñ hai āzādī
mire huzūr mohabbat ġhulām kartī hai
ye sar-ba-sajda kahā nek-dil tavā.if ne
ḳhudāyā shukr ki beTī bhī kaam kartī hai
fanā kī jhiil meñ jis tarah vaqt rahtā hai
kuchh is tarah se vo mujh meñ qiyām kartī hai
charāġh-e-muflis-o-bebas kā haal ho jaise
hamāre saath kuchh aisā hī shaam kartī hai
havā-o-hirs kī la.anat kā kyā kareñ 'ḳhālid'
tirī talab ko salīqe se raam kartī hai
lipaT ke soch se ninden haram karti hai
tamam shab teri hasrat kalam karti hai
hami wo ilm ke raushan charagh hain jin ko
hawa bujhati nahin hai salam karti hai
kisi bhi taur sikhati nahin hai aazadi
mere huzur mohabbat ghulam karti hai
ye sar-ba-sajda kaha nek-dil tawaif ne
KHudaya shukr ki beTi bhi kaam karti hai
fana ki jhil mein jis tarah waqt rahta hai
kuchh is tarah se wo mujh mein qiyam karti hai
charagh-e-muflis-o-bebas ka haal ho jaise
hamare sath kuchh aisa hi sham karti hai
hawa-o-hirs ki lanat ka kya karen 'KHalid'
teri talab ko saliqe se ram karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.