liya hai ishq ne kya intiKHab kar ke mujhe
liyā hai ishq ne kyā intiḳhāb kar ke mujhe
chunā jo bazm meñ jām-e-sharāb kar ke mujhe
ḳhatā-o-jurm pe mujh ko bahut nadāmat thī
diyā jo ḳhuld meñ jā be-hisāb kar ke mujhe
tumhāre naqsh-e-qadam se ye aa rahī hai sadā
qadam ne chhoḌ diyā ham-rikāb kar ke mujhe
ḳhatā nahīñ hai mirī ai sanam maiñ kyā kartā
biThāyā dasht meñ dil ne azaab kar ke mujhe
ye ḳhāk-e-āshiq-e-ġhamgīñ se aa rahī hai sadā
qazā chalī ga.ī masrūf-e-ḳhvāb kar ke mujhe
ḳhudā kī shaan to dekho ki un ke gulshan meñ
nasīm le ga.ī bū-e-gulāb kar ke mujhe
banāyā sajda-gah-e-ins-o-jinn dilā ne mire
'jamīla' sañg-e-dar-e-bū-turāb kar ke mujhe
liya hai ishq ne kya intiKHab kar ke mujhe
chuna jo bazm mein jam-e-sharab kar ke mujhe
KHata-o-jurm pe mujh ko bahut nadamat thi
diya jo KHuld mein ja be-hisab kar ke mujhe
tumhaare naqsh-e-qadam se ye aa rahi hai sada
qadam ne chhoD diya ham-rikab kar ke mujhe
KHata nahin hai meri ai sanam main kya karta
biThaya dasht mein dil ne azab kar ke mujhe
ye KHak-e-ashiq-e-ghamgin se aa rahi hai sada
qaza chali gai masruf-e-KHwab kar ke mujhe
KHuda ki shan to dekho ki un ke gulshan mein
nasim le gai bu-e-gulab kar ke mujhe
banaya sajda-gah-e-ins-o-jinn dila ne mere
'jamila' sang-e-dar-e-bu-turab kar ke mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.