liye main qadam jo uske to kiya itab ulTa
liye main qadam jo uske to kiya itab ulTa
Fakhruddin Khan Mahir
MORE BYFakhruddin Khan Mahir
liye maiñ qadam jo us ke to kiyā itaab ulTā
kahī baat maiñ ne sīdhī to diyā javāb ulTā
vo jo ġhair haiñ so un se tumheñ be-takallufī hai
hameñ dekh kar ke ab tum karo ho hijāb ulTā
ye vo daur hai azīzo hai najīb gardī is meñ
chalī baad ab vo jis se varaq-e-kitāb ulTā
vahīñ mehr zarra ho kar lagā aañkh ko jhapakne
lab-e-bām un ne ruḳh se jo sahar naqāb ulTā
maiñ talāsh meñ kal us ke phirā dar-ba-dar vo 'māhir'
na milā to ghar ko apne maiñ phirā ḳharāb ulTā
liye main qadam jo us ke to kiya itab ulTa
kahi baat main ne sidhi to diya jawab ulTa
wo jo ghair hain so un se tumhein be-takallufi hai
hamein dekh kar ke ab tum karo ho hijab ulTa
ye wo daur hai azizo hai najib gardi is mein
chali baad ab wo jis se waraq-e-kitab ulTa
wahin mehr zarra ho kar laga aankh ko jhapakne
lab-e-baam un ne ruKH se jo sahar naqab ulTa
main talash mein kal us ke phira dar-ba-dar wo 'mahir'
na mila to ghar ko apne main phira KHarab ulTa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.