lo aaftab ne sab KHatm iKHtilaf kiya
lo āftāb ne sab ḳhatm iḳhtilāf kiyā
dhuāñ dhuāñ the jo manzar sabhī ko saaf kiyā
shafaq kā laal dupaTTā oḌhā ke vaadī ko
vajūd-e-ishq kā sūraj ne e'tirāf kiyā
kisī ḳhayāl meñ ġharqāb garm sāñsoñ ne
dabī huī kisī hasrat kā inkishāf kiyā
ik ābshār keī shaffāf narm halchal ne
kamāl kar diyā sañg-e-badan shigāf kiyā
ki bāzgasht to jaarī hai in ghaTāoñ keī
pa bārishoñ ne kahāñ jā ke etakāf kiyā
ghaTā ne chāñd kā ghūñghaT sañvārne ke liye
hisār-e-nūr meñ sau martaba tavāf kiyā
tumhāre ḳhauf se ham muñh chhupā.e phirte haiñ
ye raushnī se añdheroñ ne e'tirāf kiyā
lo aaftab ne sab KHatm iKHtilaf kiya
dhuan dhuan the jo manzar sabhi ko saf kiya
shafaq ka lal dupaTTa oDha ke wadi ko
wajud-e-ishq ka suraj ne e'tiraf kiya
kisi KHayal mein gharqab garm sanson ne
dabi hui kisi hasrat ka inkishaf kiya
ek aabshaar kei shaffaf narm halchal ne
kamal kar diya sang-e-badan shigaf kiya
ki bazgasht to jari hai in ghaTaon kei
pa barishon ne kahan ja ke etakaf kiya
ghaTa ne chand ka ghunghaT sanwarne ke liye
hisar-e-nur mein sau martaba tawaf kiya
tumhaare KHauf se hum munh chhupae phirte hain
ye raushni se andheron ne e'tiraf kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.