lo faqiron ki dua har tarah aabaad raho
lo faqiron ki dua har tarah aabaad raho
Insha Allah Khan Insha
MORE BYInsha Allah Khan Insha
lo faqīroñ kī duā har tarah ābād raho
ḳhud raho maujeñ karo taaze raho shaad raho
aire-ġhaire vo jo hoñ shauq se chaT kar lo unheñ
par ḳhudā vāloñ kī karte hue imdād raho
qumrī-e-bāġh-e-bahisht ab jo ye be-fāḳhta haiñ
unheñ bhī kah do ki tum sarv se āzād raho
diid us kī hai karo jis ne banāyā sab kuchh
na ki har lahza fidā-e-gul-o-shamshād raho
daam meñ se jo chhuTe haiñ unheñ ye hukm huā
ki bas ab gard-e-dar-e-ḳhāna-e-sayyād raho
jā ke auroñ se bado yād-farāmosh vale
ḳhud-farāmoshoñ ko maulā mirī tum yaad raho
sūrat aave jo nazar khīñch lo us kī tasvīr
apne is vaqt ke tum mānī-o-bahzād raho
chaman-e-amn-o-amāñ ke tumheñ ho sair-nasīb
sā.īñ allāh sadā bar-sar-e-irshād raho
aish-o-ishrat karo har vaqt tum 'inshā-allāh'
husn chamkā.e phiro sab meñ parī-zād raho
lo faqiron ki dua har tarah aabaad raho
KHud raho maujen karo taze raho shad raho
aire-ghaire wo jo hon shauq se chaT kar lo unhen
par KHuda walon ki karte hue imdad raho
qumri-e-bagh-e-bahisht ab jo ye be-faKHta hain
unhen bhi kah do ki tum sarw se aazad raho
did us ki hai karo jis ne banaya sab kuchh
na ki har lahza fida-e-gul-o-shamshad raho
dam mein se jo chhuTe hain unhen ye hukm hua
ki bas ab gard-e-dar-e-KHana-e-sayyaad raho
ja ke auron se bado yaad-faramosh wale
KHud-faramoshon ko maula meri tum yaad raho
surat aawe jo nazar khinch lo us ki taswir
apne is waqt ke tum mani-o-bahzad raho
chaman-e-amn-o-aman ke tumhein ho sair-nasib
sain allah sada bar-sar-e-irshad raho
aish-o-ishrat karo har waqt tum 'insha-allah'
husn chamkae phiro sab mein pari-zad raho
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.