lo hum mariz-e-ishq ke bimar-dar hain
lo ham marīz-e-'ishq ke bīmār-dār haiñ
achchhā agar na ho to masīhā kā kyā ‘ilāj
jumbish-e-har-barg se hai gul ke lab ko iḳhtilāj
hubb-e-shabnam se sabā har sub.h kartī hai ‘ilāj
shāḳh-e-gul jumbish meñ hai gahvāra-āsā har nafas
tifl-e-shoḳh-e-ġhuncha-e-gul bas-ki hai vahshī-mizāj
sair-e-mulk-e-husn kar mai-ḳhāna-hā nazr-e-ḳhumār
chashm-e-mast-e-yār se hai gardan-e-mīnā pe baaj
girya-hā-e-be-dilāñ ganj-e-sharar dar-āstīñ
qahrmān-e-'ishq meñ hasrat se lete haiñ ḳhirāj
rañgrez-e-jism-o-jāñ ne az-ḳhumistān-e-'adam
ḳhirqa-e-hastī nikālā hai ba-rañg-e-ehtiyāj
hai savād-e-chashm-e-qurbānī meñ yak-ālam muqīm
hasrat-e-fursat jahāñ detī hai hairat ko rivāj
ai 'asad' hai musta'id shāna-e-gesū shudan
panja-e-mizhgāñ ba-ḳhud bālīdanī rakhtā hai aaj
lo hum mariz-e-'ishq ke bimar-dar hain
achchha agar na ho to masiha ka kya ‘ilaj
jumbish-e-har-barg se hai gul ke lab ko iKHtilaj
hubb-e-shabnam se saba har subh karti hai ‘ilaj
shaKH-e-gul jumbish mein hai gahwara-asa har nafas
tifl-e-shoKH-e-ghuncha-e-gul bas-ki hai wahshi-mizaj
sair-e-mulk-e-husn kar mai-KHana-ha nazr-e-KHumar
chashm-e-mast-e-yar se hai gardan-e-mina pe baj
girya-ha-e-be-dilan ganj-e-sharar dar-astin
qahrman-e-'ishq mein hasrat se lete hain KHiraj
rangrez-e-jism-o-jaan ne az-KHumistan-e-'adam
KHirqa-e-hasti nikala hai ba-rang-e-ehtiyaj
hai sawad-e-chashm-e-qurbani mein yak-alam muqim
hasrat-e-fursat jahan deti hai hairat ko riwaj
ai 'asad' hai musta'id shana-e-gesu shudan
panja-e-mizhgan ba-KHud baalidani rakhta hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.