lo wo aansu sujhai dene lage
lo vo aañsū sujhā.ī dene lage
din meñ taare dikhā.ī dene lage
maiñ ne shikva kiyā thā duniyā kā
kyoñ tum apnī safā.ī dene lage
maiñ ne virse meñ haq jo maañg liyā
dukh mujhe mere bhaa.ī dene lage
dard apnā kahūñ vo mujh ko agar
apne dil tak rasā.ī dene lage
maiñ ne achchhā kahā vafā na rahī
log mujh ko burā.ī dene lage
lo wo aansu sujhai dene lage
din mein tare dikhai dene lage
main ne shikwa kiya tha duniya ka
kyon tum apni safai dene lage
main ne wirse mein haq jo mang liya
dukh mujhe mere bhai dene lage
dard apna kahun wo mujh ko agar
apne dil tak rasai dene lage
main ne achchha kaha wafa na rahi
log mujh ko burai dene lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.