log ā.eñge log jā.eñge
naqsh hī naqsh ko miTā.eñge
phuul kāġhaz ke bhī mahakte haiñ
tere chhūne pe ye dikhā.eñge
aur ho jā.egā ye dil tanhā
is ko jis ke qarīb lā.eñge
chāñd koī chhupā nahīñ saktā
vo nazar har qabā meñ ā.eñge
ye to ThanDī havā ke jhoñke haiñ
aur ham ko qarīb lā.eñge
log aaenge log jaenge
naqsh hi naqsh ko miTaenge
phul kaghaz ke bhi mahakte hain
tere chhune pe ye dikhaenge
aur ho jaega ye dil tanha
is ko jis ke qarib laenge
chand koi chhupa nahin sakta
wo nazar har qaba mein aaenge
ye to ThanDi hawa ke jhonke hain
aur hum ko qarib laenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.