log bante hain hoshiyar bahut
log bante haiñ hoshiyār bahut
varna ham bhī the ḳhāksār bahut
ghar se be-tesha kyuuñ nikal aa.e
rāste meñ haiñ kohsār bahut
tujh se bichhḌe to ai nigār-e-hayāt
mil ga.e ham ko ġham-gusār bahut
haath shal ho ga.e shanāvar ke
ab ye dariyā hai be-kanār bahut
ham faqīroñ ko kam nazar aa.e
is nagar meñ the shahryār bahut
us ne majbūr kar diyā varna
ham ko ḳhud par thā iḳhtiyār bahut
ham hī apnā samajh rahe the use
ho ga.e ham hī sharmsār bahut
log bante hain hoshiyar bahut
warna hum bhi the KHaksar bahut
ghar se be-tesha kyun nikal aae
raste mein hain kohsar bahut
tujh se bichhDe to ai nigar-e-hayat
mil gae hum ko gham-gusar bahut
hath shal ho gae shanawar ke
ab ye dariya hai be-kanar bahut
hum faqiron ko kam nazar aae
is nagar mein the shahryar bahut
us ne majbur kar diya warna
hum ko KHud par tha iKHtiyar bahut
hum hi apna samajh rahe the use
ho gae hum hi sharmsar bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.