log hanste hain muskuraate hain
log hañste haiñ muskurāte haiñ
kaun sā ġham hai jo chhupāte haiñ
dekhiye ho chalā saverā bhī
aao ab battiyāñ bujhāte haiñ
chhoḌo rahne do ab haTāo bhī
baat itnī nahīñ baḌhāte haiñ
rāste par nahīñ hai koī nahīñ
haath kis ke liye hilāte haiñ
maiñ bhī ḳhālī huuñ tum bhī ḳhālī ho
to chalo donoñ muskurāte haiñ
aaj khiḌkī meñ chāñd utrā hai
aaj hī iid ham manāte haiñ
ho chukā ḳhatm ye drama bhī
aao ab sīTiyāñ bajāte haiñ
bhiiḌ ke saath to sabhī haiñ 'qamar'
ham nayā rāsta banāte haiñ
log hanste hain muskuraate hain
kaun sa gham hai jo chhupate hain
dekhiye ho chala sawera bhi
aao ab battiyan bujhate hain
chhoDo rahne do ab haTao bhi
baat itni nahin baDhate hain
raste par nahin hai koi nahin
hath kis ke liye hilate hain
main bhi KHali hun tum bhi KHali ho
to chalo donon muskuraate hain
aaj khiDki mein chand utra hai
aaj hi id hum manate hain
ho chuka KHatm ye drama bhi
aao ab siTiyan bajate hain
bhiD ke sath to sabhi hain 'qamar'
hum naya rasta banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.