log har baat ko afsana bana dete hain
log har baat ko afsāna banā dete haiñ
hosh-mandoñ ko bhī dīvāna banā dete haiñ
zikr karte haiñ tire husn kā jis dam ham log
chāñdnī raat ko afsāna banā dete haiñ
terī maḳhmūr nigāhoñ se zarā sī pī kar
ham to har chiiz ko mai-ḳhāna banā dete haiñ
kuchh to pahle hī kiyā 'ishq ne pāgal dil ko
aur kuchh log bhī dīvāna banā dete haiñ
husn kī sham' ko vo karte haiñ aise raushan
'ishq ko aate hī parvāna banā dete haiñ
ham vo mai-ḳhvār haiñ jo dekh ke tujh ko 'sāqī'
mai-kade ko bhī sanam-ḳhāna banā dete haiñ
log har baat ko afsana bana dete hain
hosh-mandon ko bhi diwana bana dete hain
zikr karte hain tere husn ka jis dam hum log
chandni raat ko afsana bana dete hain
teri maKHmur nigahon se zara si pi kar
hum to har chiz ko mai-KHana bana dete hain
kuchh to pahle hi kiya 'ishq ne pagal dil ko
aur kuchh log bhi diwana bana dete hain
husn ki sham' ko wo karte hain aise raushan
'ishq ko aate hi parwana bana dete hain
hum wo mai-KHwar hain jo dekh ke tujh ko 'saqi'
mai-kade ko bhi sanam-KHana bana dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.