log har-chand pand karte hain
log har-chand pand karte haiñ
āshiqāñ kab pasand karte haiñ
jāma-zebāñ dikhā ke qad apnā
dil-e-ushshāq band karte haiñ
nigah-e-garm siiñ sadā āshiq
ātish-e-dil buland karte haiñ
shoḳh-chashmāñ le jaane kuuñ dil ke
ḳham-e-abru kamand karte haiñ
jo ki tujh la.al-e-lab ke tālib haiñ
qand kuuñ kab pasand karte haiñ
gar nahīñ masḳhara raqīb us kuuñ
log kaveñ rīsh-e-ḳhand karte haiñ
jo ki chalte haiñ ishq kī rah meñ
dil kuuñ 'yakrū' samand karte haiñ
log har-chand pand karte hain
aashiqan kab pasand karte hain
jama-zeban dikha ke qad apna
dil-e-ushshaq band karte hain
nigah-e-garm sin sada aashiq
aatish-e-dil buland karte hain
shoKH-chashman le jaane kun dil ke
KHam-e-abru kamand karte hain
jo ki tujh lal-e-lab ke talib hain
qand kun kab pasand karte hain
gar nahin masKHara raqib us kun
log kawen rish-e-KHand karte hain
jo ki chalte hain ishq ki rah mein
dil kun 'yakru' samand karte hain
- Book : diwan-e-yakro (Pg. 58)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.