log har moD pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain
log har moḌ pe ruk ruk ke sambhalte kyuuñ haiñ
itnā Darte haiñ to phir ghar se nikalte kyuuñ haiñ
mai-kada zarf ke me.aar kā paimāna hai
ḳhālī shīshoñ kī tarah log uchhalte kyuuñ haiñ
moḌ hotā hai javānī kā sambhalne ke liye
aur sab log yahīñ aa ke phisalte kyuuñ haiñ
niiñd se merā ta.alluq hī nahīñ barsoñ se
ḳhvāb aa aa ke mirī chhat pe Tahalte kyuuñ haiñ
maiñ na jugnū huuñ diyā huuñ na koī taarā huuñ
raushnī vaale mire naam se jalte kyuuñ haiñ
log har moD pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain
itna Darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain
mai-kada zarf ke mear ka paimana hai
KHali shishon ki tarah log uchhalte kyun hain
moD hota hai jawani ka sambhalne ke liye
aur sab log yahin aa ke phisalte kyun hain
nind se mera talluq hi nahin barson se
KHwab aa aa ke meri chhat pe Tahalte kyun hain
main na jugnu hun diya hun na koi tara hun
raushni wale mere nam se jalte kyun hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.