log is dasht mein maruf hue kam-kam se
log is dasht meñ mārūf hue kam-kam se
raunaq-e-bazm-e-jahāñ ham se hai aur bas ham se
hoñge angusht-ba-dandāñ sabhī ġham ke maare
aise kar lūñgā kashīd aaj ḳhushī is ġham se
is ġhazal meñ na koī misra' hai juz misra’-e-tar
aur har misra’-e-tar uTThā hai dil ke nam se
ham pilā.eñge to dam toḌegī ye tishna-labī
koī sairāb na hogā yahāñ jām-e-jam se
nā.ib-e-ḳhāliq-e-kul huuñ maiñ zamīñ par 'tasnīm'
gardish-e-vaqt musalsal hai mire hī dam se
log is dasht mein maruf hue kam-kam se
raunaq-e-bazm-e-jahan hum se hai aur bas hum se
honge angusht-ba-dandan sabhi gham ke mare
aise kar lunga kashid aaj KHushi is gham se
is ghazal mein na koi misra' hai juz misra’-e-tar
aur har misra’-e-tar uTTha hai dil ke nam se
hum pilaenge to dam toDegi ye tishna-labi
koi sairab na hoga yahan jam-e-jam se
naib-e-KHaliq-e-kul hun main zamin par 'tasnim'
gardish-e-waqt musalsal hai mere hi dam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.