log jam-o-subu ke dekhte hain
log jām-o-subū ke dekhte haiñ
ham nashe guftugū ke dekhte haiñ
gulsitāñ se hamārī dostī hai
mashġhale rang-o-bū ke dekhte haiñ
un ko hairat se dekhtā huuñ maiñ aur
mujh ko rishte lahū ke dekhte haiñ
kuchh se qudrat ne chhīn liiñ āñkheñ
kuchh binā justujū ke dekhte haiñ
aisī hasrat se us ko dekhtā huuñ
jaise roTī ko bhūke dekhte haiñ
luT rahā hai tamām raḳht-e-hayāt
qāfile aarzū ke dekhte haiñ
log jam-o-subu ke dekhte hain
hum nashe guftugu ke dekhte hain
gulsitan se hamari dosti hai
mashghale rang-o-bu ke dekhte hain
un ko hairat se dekhta hun main aur
mujh ko rishte lahu ke dekhte hain
kuchh se qudrat ne chhin lin aankhen
kuchh bina justuju ke dekhte hain
aisi hasrat se us ko dekhta hun
jaise roTi ko bhuke dekhte hain
luT raha hai tamam raKHt-e-hayat
qafile aarzu ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.