log jab jab teri aankhon mein KHuda dekhte hain
log jab jab tirī āñkhoñ meñ ḳhudā dekhte haiñ
ham dar-e-makr sabhī ḳhalq pe vā dekhte haiñ
chand paisoñ ke sivā husn-o-takalluf ke binā
aur ab ishq-o-ḳharābāt meñ kyā dekhte haiñ
ishq meñ kaisī rivāyat hai ki sab ke āshiq
dard ḳhud dete haiñ phir sū-e-davā dekhte haiñ
ḳhvāh-maḳhvāh dete haiñ dushnām zamāne vaale
jab bhī majnūñ kisī lailā pe fidā dekhte haiñ
vasl ke ba.ad milī hijr kī is vahshat meñ
ham kabhī tum ko kabhī bād-e-sabā dekhte haiñ
log jab jab teri aankhon mein KHuda dekhte hain
hum dar-e-makr sabhi KHalq pe wa dekhte hain
chand paison ke siwa husn-o-takalluf ke bina
aur ab ishq-o-KHarabaat mein kya dekhte hain
ishq mein kaisi riwayat hai ki sab ke aashiq
dard KHud dete hain phir su-e-dawa dekhte hain
KHwah-maKHwah dete hain dushnam zamane wale
jab bhi majnun kisi laila pe fida dekhte hain
wasl ke baad mili hijr ki is wahshat mein
hum kabhi tum ko kabhi baad-e-saba dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.